Saturday, 16 May 2020

Ertugrul Ghazi Drama vs Firqe Wariyat ki Lanat

Pin on Trending Stories

Dialogues:

1. Jaddo Jahad Hamari, Fateh Allah Ki

2. Jiska koi Khawb nahi uska koi Mustaqbil nahi

3. Agar apka dil Khalis aur Paakizah hai, to Duniya ki koi Shaitani Quwat apka muhasarah nahi karsakti

4. Hamare Aslaaf ki Dastaane Bachon ko sulane ke liye nahi, Balke MARDON ko jagane ke liye Sunai jaati hai

5. Ham apne taraf badhe hue haat ko khali nahi jaane dete, Dosti ka ho to milalete hai aur Dushami ka ho to Kaat dete hai

6. Puri duniya bhi agar khilaf hojai ye kabhi nahi hosakta hai ke ham kisi Zaalim ka saath
    de den kabhi

aur bhi beshumar Qurani ayaat aur Ahadeeth ke zariye apni awam aur riayah ki Islaah aur himmat afzai karte rahe Ertugrul Ghazi

Important Note:

is drama me jo kirdar kash hazraat hai unki personal life kuch aur hai
Drama asli Ertugrul par hai, Kuch log in kirdaaron ki pics wagaira bhejkar apko uksane ki koshish karenge aisi Jahalat me aakar is drama ki muqalifat karna LA ILMI aur JAHALAT HOGI

Drama mukammil dekhe aur apni Ibadaat/Namz aur Walidain ya dosron ke Huqooq ko qata na karen

Important link aur Tajziye Nigaar ki Raai:

https://www.youtube.com/watch?v=NAHdKaDuqzw
Why The West Does Not Like Drama Ertuğrul)

https://www.youtube.com/watch?v=bwVEgamqeaQ
(Mexican Couple Accept islam after watching Ertugrul Drama)

https://www.youtube.com/watch?v=ifCNx2ocmxk
(Jinko Takleef hai Unko Takleef Q hai)

Assalamualaikom wr wb 

Islam Etedaal Mazhab hai

Ramazan me qat'an koi TV na khole aur na koi film ya drama
Zikr/Tilawat/ Tauba/ dua ka ehtemam karen

Lekin baaz hazraat ramzan me bhi films/games me time pass karte ya phir kuch bollywood ke gano ko ramzan par tabdeel kiya hua hai with same tune n music wo sunne ya qawwalis ke shauqeen hai

Aise kaam se to bahtar Salahuddin ayyubi/Ertugrul jaise imaan aafroz prog. Unke liye bahtar hai

Ulama ko galti lagi hai, Asal baat Geo-politics ka hissa hai Aur firqe wariyat ki lanat bhi jo Islam me haram hai, isi wajha se Anti-Turkey Countries ke Ulama iski muqalifat karte hue nazar aarahe hai.

Jabke Ulama itni shiddat se fahashi par mabni Movies/Dramaas par eteraaz karte nazar nahi aai.
Allah in Ulama ki Islaah kare, Ameen

Har Musalman hamra bhai hai Agar wo ghalat hai to uske islah ki koshish aur uske liye dua karna hamara farz hai Jaise ke Nabi e Paak Sallahualaihi wasallam ka tariqa hai

Ek taraf hamare ulama Siyasi Jamaton ki tayeed karte aur unko votes jo ke khud voting Haram hai..daalne keliye kahte hai

Yahan qabil e zikr baat ye hai ke Voting bhi haram aur Shaqsiyaat ka to kya kahna jise vote diya jaata hai unke kaarname sabko pata hai

Dosri taraf Erdogan ke aqaid par sawal utha the, Kahan Ertugrul/Erdogan aur kahan hamare mumalik ke Siasat daan?

Walla ajeeb hai bhai..insaaf karna bade badon ke bass ki baat nahi

Lehaza etedaal ki raah iqtiyar karen

Jo log ye serial dekhe unme jazbaat paida hue aur wo deen ki taraf raghib hue kisi hadd tak...balke Salahuddin Ayyubi r.a ko bhi sunkar bohat mutassir hue

Zara sonchiye Film/gaane/kahani ghar ghar ki jaise Entertainments dekhkar siwai fitna aur fahasi ke aur kya milta?

Is qism ke serials dekhkar saas bahoo, jithani/dewrani etc..sab gharon me ladai fitna fasad

Uske muqabil me ye dramas bilkul muqtalif hai...isse koi aisi negativity nahi aaigi..In Sha Allah

Phir ek baar..jo hazraat deendar hai aur unme insaaf aur ummat ki fikr aur uske liye koshish karrahe hai..already field par kaam karrahe hai unhe utni zaroorat nahi hai

Ye unke liye hai jo mostly time games/movies/gaano aur aashiqiyon me mubtela hai
Wallau Aalam Bis Sawab

Assalamualaikom wr wb
Apka Islami Bhai

No comments:

Post a Comment